Wednesday, June 26, 2013

Kehwa Piyen aur healthy rahen

Kehwa/green tea ka istemal mukhtalif bacteria, virus, sugar, jisam mein charbi, dil ki bemariyan aur mukhtalif qisam kay cancers se bachata hai.

Sunday, June 23, 2013

Strawberry aur Blueberry for Khawateen

Khawateen agar haftay mein 3 roz strawberry aur blueberry ka istemal rakhain tu dil kay doray kay khadshaat aik tihai hud tak kum ho jatay hain.

Friday, June 21, 2013

Nahanay ke liye Pani

Sardiyon mein taiz garm pani se nahanay se jild ki numi khatam ho kar jild khushk aur rookhi hoti hai, hamesha hulkay garm pani se nahana chahiye.

Thursday, June 20, 2013

Jild ke liye compatible Lotion

Jild kay liye aisa moisturizing lotion mufeed hai jis mein hydroxyl aur salicylic acid mojud ho iss se jild khobsurat, narum aur mulaim rehti hai.

Wednesday, June 19, 2013

Khoobsurat balon kay liye totka

Khoosurat balon kay liye badaam ka taiel aur gheekwar(Aloe vera) barabar miqdar mein lain, 1 vitamin-C capsul shamil Karain aur balaon mein lagaiye.

Monday, June 17, 2013

Jild par danay hon tu

Jild par danay hon tu jild ko saaf rakhain aur kum se kum hathon se chooyain, iss se jaraseem jild par lagtay hain aur danay mezeed barhtay hain.

Tuesday, June 4, 2013

Eat Amrood for increasing Hemoglobin

Amrood hemoglobin barhanay mein madad deta hai, ghizai aitbaar se intehai mufeed hai, Raat kay khanay kay baad aik amrood khana buhut mufeed hai.