Wednesday, June 26, 2013

Kehwa Piyen aur healthy rahen

Kehwa/green tea ka istemal mukhtalif bacteria, virus, sugar, jisam mein charbi, dil ki bemariyan aur mukhtalif qisam kay cancers se bachata hai.

Sunday, June 23, 2013

Strawberry aur Blueberry for Khawateen

Khawateen agar haftay mein 3 roz strawberry aur blueberry ka istemal rakhain tu dil kay doray kay khadshaat aik tihai hud tak kum ho jatay hain.

Friday, June 21, 2013

Nahanay ke liye Pani

Sardiyon mein taiz garm pani se nahanay se jild ki numi khatam ho kar jild khushk aur rookhi hoti hai, hamesha hulkay garm pani se nahana chahiye.

Thursday, June 20, 2013

Jild ke liye compatible Lotion

Jild kay liye aisa moisturizing lotion mufeed hai jis mein hydroxyl aur salicylic acid mojud ho iss se jild khobsurat, narum aur mulaim rehti hai.

Wednesday, June 19, 2013

Khoobsurat balon kay liye totka

Khoosurat balon kay liye badaam ka taiel aur gheekwar(Aloe vera) barabar miqdar mein lain, 1 vitamin-C capsul shamil Karain aur balaon mein lagaiye.

Monday, June 17, 2013

Jild par danay hon tu

Jild par danay hon tu jild ko saaf rakhain aur kum se kum hathon se chooyain, iss se jaraseem jild par lagtay hain aur danay mezeed barhtay hain.

Tuesday, June 4, 2013

Eat Amrood for increasing Hemoglobin

Amrood hemoglobin barhanay mein madad deta hai, ghizai aitbaar se intehai mufeed hai, Raat kay khanay kay baad aik amrood khana buhut mufeed hai.

Monday, May 27, 2013

Benefits of Handwash and Shower Gel

Sabun jild se numi mita kar jild ko rookha bayronak karta hai, hathon kay liye liquid hand wash aur nahanay kay liye shower gel ka istemal karain.

Saturday, May 25, 2013

Narm-o-mulaim Skin kay liye totka

Narm-o-mulaim jild(Skin) kay liye chehray ko sabun kay bajaye kisi achay face wash se dhoain. Apni jild ki kisam kay mutabiq face wash muntakhib karain.

Thursday, May 23, 2013

Roz 3 Khajoorein Khane Se

Khajooor ghizai aitbar se buhat mufeed hai. Roz 3 Khajoor khanay se mukhtalif cancers aur dil ki mukhtalif bemariyon se mehfooz raha ja sakta hai.

Wednesday, May 22, 2013

Khoobsurat Skin Kay Liye Totka

Khoobsurat jild(skin) kay liye jo/jai/oats ko ghiza mein shamil rakhain aur jo kay aatay mein shehad mila kar haftay mein 2-3 bar jild par lagaya karain.

Hair Dryer ka istemal na karen

Koshish karain kay baal hamesha qudrati tareekay se he khushk kiya karain, hair dryer waghera kay istemal se baal rookhay aur kharab ho jatay hain.

Tuesday, May 21, 2013

Coconut Oil for Hair Treatment

Agar baal buhat girtay hain tou haftay mein 2 bar coconut/nariyal kay taiel se sar ki malish karain, neend poori karain aur sehatmand khorak khaiye.

Monday, May 13, 2013

Diets during Deiting

Jab dieting karein tu ghar mein chabane wali sabziyan ziada rakhein. Jab bhi bhook lage tu gajar, muli, bundh gobhi, ya aisi doosri sabziyan khayain. aur ho sake to bhonay howe chanay chilkay samait khayen. blood pressure ya stomach k paitents doctor se mashwra kiye begair chanay mat khayen

Sunday, May 12, 2013

8 se 9 ghante ki Need ke Faide

Achi aur poori neend apki jild, ankhon kay gird hulkay se bachao kay liye buhat zaroori hai, rozana 8 se 9 ghantay bharpoor neend soiye.

Saturday, May 11, 2013

Rozana 5 Cup Green Tea ke Benefits

Daily 5 Cup of Green Tea

Rozana 5 Cup Green Tea ke Benefits

Rozana 5 piyali sabz chaye/green tea peenay se 70 se 80 calories/charbi zaya hoti hain aur iska istemal ankhon kay liye bhi mufeed hai.

Friday, May 10, 2013

Kheeray kay Qatlay ya Used Tea Bags

Ankhon kay gird hulkay dour karnay kay liye har subha kheeray kay qatlay ya istemal shuda thanday tea bags ankhon par 10-15 minutes tak rakhain.

Monday, May 6, 2013

Hathon ki jild ke liye asaan nuskha

Hathon ki jild pay umar kay asraat ziada jaldi zahir hotay hein,

Hathon ki jild ke liye asaan nuskha

har bar nahanay/hath dhonay kay baad hathon par acha moisturizing lotion lagaiye.

Tuesday, April 30, 2013

Benefits of Body Massage before Shower

Take Shower after Body Massage

Benefits of Body Massage before Shower

Nahanay se pehle jisam ka massage karnay se jisam ki kashedagi door hoti hai aur jisam behtar aur chust/active andaz mein kaam karta hai.

Anday se Balon ki khushki kam karne ka totka

Egg Home Remedy for Hair


Anday mein mojood selenium balon ki nasho numa karta hai.

Balon ki khushki kam karne ka totka

2 Table spoon pani mein 2 anday phaint kar 10 se 15 minute tak balon par lagain khushki kum hogi.